kaisa ye dardnaak hai manzar furaat par
zakhmi pada huwa hai ghazamfar furaat par
kham hogayi kamar meri aakar furaat par
hai dard ka manzar ke dilawar gaya mara
shane kata ke sogaya hyder ka dulaara
roro ke bain karte the sarwar furaat par
jis dam mahaaze jang me ye sher lada tha
zalim ko bas ek waar se hi dher kiya tha
kehte the ahle shar ke hai hyder furaat par
jab tegh lagi shanou pe abbas e jari ke
seene se lagaaya tabhi parcham ko nabi ke
thanda huwa alam wahi'n girkar furaat par
har ek gira hai ghodey se hathou ke sahaare
abbas mera khud ko bhala kaise sambhaale
baazu katake gir pada dilbar furaat par
girkar zamee'n pe ghazi yehi kehte they rokar
aajaiye ab aaqa khabar lijiye aakar
dhaate hain sitam mujhpe sitamgar furaat par
jab tegh-e-sitam aankh se shabbir ne khencha
hasrat bhari nigaah se abbas ne dekha
dam tod gaya bhai wo kehkar furaat par
khaime me bhala kis tarha mai chehra dikhau'n
maara hai mere sher ko kistarha batau'n
darta hu'n ke aajaaye na khawhar furaat par
maare gaye ammu ye sakina jo sunegi
kis tarha chacha se wo judayi ko sahegi
doudi huwi wo aayegi rokar furaat par
baazu kate jo ammu ke dekhegi sakina phir apne gham-o-ranj se wo peetegi seena
marjaye na wo sadma uthakar furaat par
zainab ki jo dharas thi wo baaqi na rahi ab
saidaniyou'n ke sar se chhinegi rida bhi ab
soti hai sabki aas ki chadar furaat par
kaise ho baya'n faiz wo hangaam-e-musibat
saqqa-e-haram kargaya duniya se jo rehlat
sarwar bhi rorahe the tadapkar furaat par