Kanz e Aza

Haider ka Musalmaan Nay Jo Khoon Bhaya Hay

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Saar par say yeh zainab kay (x2) haey saaya uthaaya hay

Zainab nay rida thaamee, baazoo ko chupaaya hay

Abbas ko Haider nay nazdeek bulaaya hay

Tunay tau yeh baba ka taaboot uthaaya hay

Kyun baap say martay dum, dhuk khud ko chupaaya hay

Zainab kay bhi ronay par ab pehra lagaaya hay