Kanz e Aza

Haq Hai Ali ke Saath

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

haq hai ali ke saath ali hai nabi ke saath

ye jiske saath hai hai khuda bhi unhi ke saath

haq hai ali ke saath...


koi ali ke koi hai ghaire ali ke saath

momin kisi ke saath munafiq kisi ke saath

haq hai ali ke saath...


roza namaz haj o ziaraat sab khubool

lekin ye shart hai ke ho hubbe ali ke saath

haq hai ali ke saath...


salmane ahlebayt koi bhi na ban saka

yun tha sabhi ka baithna uthna nabi ke saath

haq hai ali ke saath...


aaye hai hum jahan mein baraye ghame hussain

ye dard to mila hai hamein zindagi ke saath

haq hai ali ke saath...


qurban karke hum ne zamane ki har khushi

apnaya hai hussain ke gham ko khushi ke saath

haq hai ali ke saath...


qayam hai deen farshe aza e hussain se

ye baat sochna kabhi sanjeedgi ke saath

haq hai ali ke saath...


bete ke dil se kyanch rahe hai sina hussain

ya rab nikal na aaye kaleja ani ke saath

haq hai ali ke saath...