jo fatema ki rag e jaan ali ka hai dilbar
hussain minni kahe jisko shaafa e mehshar
wo jiska kar diya taraaj karbala mein ghar
musibaton ki hadein khatm ho gayi jis par
guroh e chaak gariban salaam karta hai
qayam e sheh ka nigehban hussain ka bhai
wo jisne ki thi sakina ki ran mein saqqayi
lab e furaat kate haath jiske maut aayi
wafa ne jis se jahan mein hayaat e nau paayi
guroh e chaak gariban...
na maa ka doodh na pani mila jise wo sagheer
wo jisko dekh ke tukde jigar ho wo baysheer
wo jisko le gaye maidan mein hazrat e shabbir
wo jiska nanha gala aur hurmala ka teer
guroh e chaak gariban...
jo quwwat e dil e laila tha khoobroo wo jawan
wo jisko dekh ke hota tha mustafa ka gumaan
wo jisne ain e jawani mein khaayi dil pa sina
wo jiske byaah ka maadar ko reh gaya armaan
guroh e chaak gariban...
wohi jo thay shahe karbobala ke dil ka chain
wo kamsini mein jinhe maut aayi haye hussain
tha jinki maut se qaimon mein ek shor o shain
wo yani zainab e aali nasab ke noor e ain
guroh e chaak gariban...
wo jisko seene pa apne sulaate thay sarwar
wo jiske kaano se tapka lahoo chinay gauhar
yateem jaan ke todi musibatein jis par
rahi aseeron ki jo shaam tak shareek e safar
guroh e chaak gariban...