matam ki sada se
soya hua ehsaas jagaya jaata hai
jo aale nabi par guzri hai
majlis may bataya jaata hai
matam ki sada se…
islam ke shehdayi seekhe
yun deen bachaya jaata hai
sar tan se kataya jaata hai
ghar baar lutaya jaata hai
jo aale nabi par...
shabbir ne ye dikhlaya hai
ghurbat may bhi saare aalam ko
peeri may jawan ke laashe ko
kis tarha uthaaya jaata hai
jo aale nabi par...
sar tan se kata kar bhi logon
hoti hai ibadat khaaliq ki
ya noke sina ke mimbar se
quran sunaya jaata hai
jo aale nabi par...
qasim ki shahadat hote hi
ek shab ki suhagan rand hui
afsos ke ek ek choodi ko
bewa ki badhaya jaata hai
jo aale nabi par...
laasha na utha paaya na kafan
wo jiski lahad bhi ban na saki
har samt usi ka dunya may
taboot uthaaya jaat hai
jo aale nabi par...
ye naqshe ghame sarwar hai zaki
mitne ka nahi ye dunya se
utna hi ubharta rehta hai
jitna ke dabaya jaat hai
jo aale nabi par...