Kanz e Aza

Aage Kate Hue Sar

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

gyara moharram ki aayi sehar

aaye rasan le ke kuch ahle shar

qaidi bani saari shahzadiyan

ek reesma mein sabhi nauha gar

yun karbala se kiya aale nabi ne safar

aage kate huwe sar peeche khule huwe sar


maaon ki nazaron mein noor e nazar

behno ki nazaron mein bhai ke sar

mehmil kajawe na haudaj koi

kaanton bhare raaston se guzar

nauha aseeron ka hai

kaise uthaayen nazar

aage kate huwe sar...


naaqe se bali sakina giri

aur khaafile se juda ho gayi

aaghosh mein sayyeda ne liya

itne mein zainab wahan aa gayi

ro kar kaha dekh lo

amma hamara safar

aage kate huwe sar...


takreeb manzil pe chautha qayaam

esaayi muslim ne ki sulhe aam

ek shaks le aaya kuch chaadarein

tareekh mein jis ka yahya hai naam

maloom jab ye hua

aale nabi hai magar

aage kate huwe sar...


kya zulm ki intaha ho gayi

nau baar chaadar mili phir chini

ab apne ghazi ko awaaz de

deta tha zainab ko taane shaqi

ye dekh kar gir gaya

naize se ghazi ka sar

aage kate huwe sar...


majma layeeno ka raahe kathan

barsaye pathar sabhi mard o zan

zainab kare kaise apna difa

gardan mein haath aur us mein rasan

khud se nahi uth saki

jab gir gayi khaak par

aage kate huwe sar...


zainab pe tehre na koi nazar

quran padne laga sheh ka sar

baba ko dekha to rone laga

zainab ko dekha hua nauhagar

sajjad bebas hua

jaaye to jaaye kidhar

aage kate huwe sar...


raaste mein aaya jo shireen ka ghar

shireen ke kaano mein pahunchi khabar

khush hoke nikli hussain aa gaye

rone lagi phir wo ye dekh kar

aaya hai kis haal mein

aaqa mera mere ghar

aage kate huwe sar...


ahle haram nauhagar aa gaye

naizon pe shohda ke sar aa gaye

shabbir waade nibhaate huwe

ek raat raahib ke ghar aa gaye

raahib ka dil phat gaya

ye khaafla dekh kar

aage kate huwe sar...


bazaar to muqtasir hi sa tha

adtees ghanton mein wo tay hua

jab baabe saa'at pe pahunche haram

farhan o mazhar ajab waqt tha

kis tarha daakhil huwe

darbar mein nauhagar

aage kate huwe sar...