Kanz e Aza

Qasim ki aati hai mehendi

A noha for Qasim (a.s) (2019). Lyrics in Roman Urdu.

Qasim ki aati hai mehendi

Ran me bewa Hasan ki pukari, Mere Qasim ki aati hain mehendi..(2)


Aaj ke din ke jaau main waari, Mere Qasim ki aati hain mehendi

(1) Main Payambar ke pyaale bharugi...(2)

Shame Mushkil kusha ki dharugi

Bibi Zahra ki sehnak karugi


Mere Qasim ki aati hain mehendi

Qasim dulha....(15)


(2) Sote kyu ho baraati jagaao....(2)

Shaadiyane shatabi bajao

Murtaza ke qaseede sunao


Mere Qasim ki aati hain mehendi

Qasim dulha....(15)


(3) Ek mandha

Mandha...

Ek mandha sehen me bandha do, usme dulha ko lakar bitha do

Ghar me sandal ke chaape lagao


Mere Qasim ki aati hain mehendi

Qasim dulha...(15)


(4) Yeh uroosi hain Ibn e Hasan ki, Lao kaliyan Nabi ki chaman ki

Maang taaron se bhar do dulhan ki


Mere Qasim ki aati hain mehendi

Qasim dulha...(15)


(5) Bibiyon kya nazar hain tumhari...(2)

Agayi samdhano ki sawari

Kar do sharbat ki jaldi taiyari


Mere Qasim ki aati hain mehendi

Qasim dulha...(15)

Ran me bewa Hasan ki pukari, Mere Qasim ki aati hain mehendi