Kanz e Aza

Yasrab se Karwan Jab Sadaat ka Chala Hai

A noha for Safar e Imam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

Mur Murke Har Musafir Sughera Ko Dekhta Hai


Teri Teeno Bhaino Baba Tere Sath Jarahi Hain,

Sughera Ko Sath Leja Akbar Ki Iltaja Hai


Teri Zindagi Mein Na Utre Binte Ali Chadar,

Umal Baneen Ne Rokar Abbas Se Kaha Hai


Marjata Karbobala Mein Yeh Dekhta Na Abid,

Jakri Ali Ki Beti Aur Mangti Ridha Hai


Jangal Mein Apni Basti Nana Basao Ga Main,

Mere Laho Se Hogi Tere Deen Ki Baqa Hai


Azzan Ki Sadaein Sajde Hassan Namazein,

Ehsan Karbala Tha Ehsane Karbala Hai