Kanz e Aza

Abbas Salaar e Qafila

A noha for Safar e Imam Hussain (2020). Lyrics in Roman Urdu.

salle ala salle ala


yeh hai hussaini(a.s.) qafla


salle ala salle ala


yeh hai hussaini(a.s.) qafla


jab faisla shah(a.s.) ne kia jana hai karbobala

jana hai karbobala

tayar kar kay qafla zainab(s.a.) say shah(a.s.) ne kaha

zainab(s.a.) say shah ne kaha

meri behan dekho zara

kis shaan ka hai qafla


ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


sadat ka hai yeh safar

uthti nahi koi nazar

ghazi(a.s.) ki ek awaz per

sunsan hai har rah guzar

aisa bharam yeh dabdaba


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


bhipra hwa shere ali(a.s.)

girde haram hai har ghari

ek hath hai talwar per

ek main rasan rahwar ki

misle ali(a.s.) barhta raha


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


hai sabz saari mehmilain

shahzadya mehmil main hain

samjha rahi hain sub ko yeh

zainab(s.a.) tumhari chadarain

qaim rahengi ba khuda(j.j.)


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


hai dhop main saya bara

ghazi(a.s.) ka hai percham khula

koi nahi piyasa yahan

hai mashk main pani bhara

hai mutmaeen chota bara


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

aehle haram ki aas hai


shabbir(a.s.) ko ahsas hai

zoor-e-qamar bazo mera

bhai mera abbas(a.s.) hai

sub kay lye mushkil kusha


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


zainab(s.a.) ka yeh farman hai

koi hawao say kahay

bay pardagi ho na kahin

mehmil ka na parda hatay

han rok sakta hai hawa


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


zainab(s.a.) kay lab per hai sada

shukre nabi(s.a.w.w.) shukre khuda(j.j.)

kis main hai yeh himmat bhala

is samt jo dekhe zara

hain jante aehle jafa


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


saay ki tarha sath hai

akber(a.s.) jawan shabir(a.s.) kay

mahve tawaf-e-shahedeen(a.s.)

zainab(s.a.) kay dono ladle

hamrah zainab(s.a.) ki dua


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


baqir(a.s.) say yeh kehne lagi

baali sakina(s.a.) shah(a.s.) ki

in raasto main to hamay

takleef na hogi koi

hai sath main mere chacha(a.s.)


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla


farhan or mazhar suno

jab bhi alam le kar chalo

ooncha alam ghazi(a.s.) ka hai

duniya say yeh kehte raho

hai qafla shabir(a.s.) ka


abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

ahle haram ka aasra

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla

abbas(a.s.) salare qafla