shabbir ka matam kiya zehra se dua li
hum aaye nahi farshe aza se kabhi khaali
khaake dar e zehra se jabeen kya hai sajali
jannat hai khadi dar pe mere ban ke sawali
shabbir ka matam kiya…
seene se sina khaynch ke farzandane nabi ne
laash akbar e mehroo ki kaleje se lagaali
shabbir ka matam kiya…
hilne lagi maqtal ki zameen jab shahe deen ne
barchi ali akbar ke kaleje se nikaali
shabbir ka matam kiya…
saahil pe tadapta hua chod aaya labe nehr
ghazi ne nazar mudh ke bhi na pani pe na daali
shabbir ka matam kiya…
murjha gaya zehra ka chaman dashte bala may
maa'on ki bhari godh yahan hogayi khaali
shabbir ka matam kiya…
lejate kahan mayyat e baysheer ko shabbir
ek nanhi si turbat wahin maqtal may banadi
shabbir ka matam kiya…
saahil pe tadapta raha abbas ka laasha
qaime may tadapti rahi aaghosh ki paali
shabbir ka matam kiya…