shabbir ka matam karna hai
mazloom ka matam karna hai
zehra ki duae'n lena hai
ham paida huwe hain is gham ko
ye gham jo hai dil ki dhadkan
is gham ki khatir jeena hai
is gham ki khatir marna hai
shano'n ko sheh par karke fida
dariya ke kanaare maara gaya
abbas ka matam karna hai
mashkeeze ka matam karna hai
jo apni jaan ko khota raha
chalees baras jo rota raha
sajjad ka matam karna hai
zanjeer ka matam karna hai
atthara baras wala dilbar
shabbir ki jaa'n laila ka jigar
barchi se ran me maragaya
akber ka pursa dena hai
asgher ke gale par teer laga
tar khoon huwa nanha sa gala
masoom ka matam karna hai
har qalb ko jhula banna hai
zehra ka karam hai sab dawar
izzat bhi mili hai matam se
saqqa e haram ke parcham ko
ab thame huwe hi chalna hai