asghar ka bhi shumaar bahattar mein ek hai
hum-rahiyane sibte payambar mein ek hai
kehti hai kamsini ke ye ghar bhar mein ek hai
kab ghaziyon mein fard hai lashkar mein ek hai
yan haajate daleel gawahi nahi koi
is umr ka jahan mein sipahi nahi koi
asghar ka bhi...
karbobala ka garche takaza hai dum ba dum
lekin hussain kaise badhaye abhi qadam
mehzar mein naam koore bahattar ke hai raqam
maujood sab hai ek mujahid magar hai kam
gar wo nahi to jang kahan thi nahi koi
phir hurmula ka madde muqaabil nahi koi
asghar ka bhi...
bas is liye hai apne gulaytar ka intezar
as-haab ka na fauj na lashkar na intezar
abbas ka na qasim o akbar ka intezar
ran saat tak faqad ali asghar ka intezar
jab tak na paaya usko shahe mashraqain ne
cheda na koi kaare shahadat hussain ne
asghar ka bhi...
haan jab talak ye aalam e anwaar mein nihaa
deta tha daste khudrate haq usko loriyan
aksar sitare tod ke deti thi kehkashan
zid ki to pehro leke tehelta tha aasman
machla to phir na maano hazaron se poochlo
raton ki neend udh gayi taaron se poochlo
asghar ka bhi...
tehreer tha jo arsh ke maathe pe la ilaah
padta tha kalma jiski bhi pad jaati thi nigaah
asghar bhi thay jo waaqife adaab e rasm o raah
hairaan thay farishte ke allah ki panaah
is bezaban par ye samajh gulbadan mein hai
kalme ke badle kalme ki ungli dahan mein hai
asghar ka bhi...
hai kash ma kash mein baadshahe aasman janab
asghar tadap rahe hai ke ran ko chale shitaab
aur dil ye soch soch ke khaata hai pech o taab
jhoola hua jo khaali to mar jayegi rabab
aakhir badaye haath isi ghaur o khaus mein
tooba ki shaan se jo gayi kausar ke hauz mein
asghar ka bhi...
misle kamand gaysu e paycha liye hue
khanjar se tez dishana e misgan liye hue
masoom si nigaah ka payka liye hue
itrat se sab ye jang ke samaan liye hue
nau laak ke mubaakile ko ja raha hai ab
durre najaf pahad se takra raha hai ab
asghar ka bhi...
pyasa tha teen roz se yasrab ka kaarwan
allah re tashnagi ke bani har nafas dhuan
wo waqt tha ke bali sakina basad fughan
abbas ko dikhati thi sookhi hui zaban
qurban magar sagheer ki is aal baan par
ek lafz al atash bhi na aaya zaban par
asghar ka bhi...