Kanz e Aza

Ayyuhan Naas

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ayyuhan naas shumara ba haq e khoon e hussain

lehja ee gosh numaya idari shewan o shain


ayuhannas tumhe khoon e hussaini ki qasam

kam na ho ranj o alam aur ye shor e matam


ye wo matam hai jo zahra o ali karte rahe

asre ashoor ye matam to nabi karte rahe

jab luta fatema zehra ka bhara ghar ran mein

alqama roti thi aur karbobala karti thi bain

ayyuhan naas shumara...


shud sakina chu giraftar e ajal dar zindan

na rafeeq e na anees e dam e gham khwaran

mar gayi shaam ke zindan mein sakina ghut kar

dafn ke waqt bhi aaye nahi bhaiya akbar

dil ki hasrat rahi dil mein hi rehaai na mili

khoon bhara kurta kafan ban gaya marqad zindan

ayyuhan naas shumara...


murd farzand e jawan khurd seena bar seena

padari sokhta jaan girya kunad wawela

mar gaya saamne athara baras ka beta

haye is umr mein sajta hai saron par sehra

noor aankhon ka gaya thokarein khaate hai hussain

dar e qaima pe khadri roti hai binte zahra

ayyuhan naas shumara...


turbat e asghar e masoom ba maidan beeni

bar lehad ashk fishanand hussain ibne ali

ek nanhi si lehad khod ke maidan mein hussain

kehte hai saunpa khuda ko tujhe ay noor e ain

khwab sab aankhon ka paiwand huwe umme rubab

khaali jhoola hua aur kokh tumhari ujdi

ayyuhan naas shumara...


rafta shud chadar e zainab sar e bazaar e jafa

seena kobi ba kunan ahle aza wawela

sar e bazar e jafa binte ali be-chadar

bhai athara thay koi na raha sar pe magar

rassiyan qaid e sitam ranj o alam kunbe ka gham

tan ba taqdeer hai is haal mein binte zehra

ayyuhan naas shumara...


man na khwaham deegar e zindagi aakhir lashkar

baad e abbas alamdar o ali e akbar

jee ke ab kya kare shabbir ke lashkar na raha

wo alamdar wo abbas e dilawar na raha

asr ka waqt liye jaam e shahadat aaya

rakh diya sajda e mabood mein shabbir ne sar

ayyuhan naas shumara...


chashme ma ashk fishan dar ghame shabbir hanooz

man na khwaham ma siwa matame shabbir hanooz

ashk aankhon se nahi thamte hai rehaan kabhi

yaad aa jaata hai jab shaam ka zindan kabhi

jab bhi qirtaas pe mai nauha e shabbir likhun

meri tehreer mein aata hai mere qalb ka soz

ayyuhan naas shumara...