Kanz e Aza

Zindaan Main Nahin Athi, Kyu Tazzah Hawa Bhayah

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Sajaad Sakina Ko (x2) Maarnay Seh Bacha Bhayah.


Paani Nahin Maangu Gi, Bacho Ko Sambhalu Gi

In Chotay Say Haato Seh, Teray Kaantay Nikalo Gi

Ek Baar Sakina Ko (x2)

Tu Paas Bhulwoh Bhayah.


Deewaro Seh Zindaan Ki, Taak Rahkay Main Girr Thi Hu

Phir Dehr Talak Bahayh, Tanhayee Si Sisak Thi Hu

Ah Rayt Kay Bistaar Seh (x2)

Bhaynah Ko Uttah Bhayah.


Jis Nay Mujhay Maara Tah, Woh Khwaab Main Atha Hain

Mai Sooh Bhi Nahin Sakdhi, Kuch Aisay Dhaara Tah Hain

Sajaad Mujay Daydo (x2)

Bahoo Main Pannah Bhayah.


Jeethi Ti Imamat Ke, Mein Paak-e-Save Roway

Abh Meray Guzar Ti Hai, Zindaan Eh Indero Mein

Is Waqt Bhi Rasi Mein (x2)

Hai Mera Gala Bhayah.


Sajaad Tere Ghaam Main, Jo Ashkh Bahayeh Gah

Jo Halqah-e-mataam Main, Saar Peetay Taahegah

Tauqeer Dilawogi (x2)

Wadah Hain Mera Bhayah.


Karti Hai Behen Wada, Baba Ko Na Rowaygi

Ashko Se Kabhi Aapna, Damaan Bhi Na Gowaygi

In Goreh Indero Se (x2)

Karwan Eh Raha Bhayah


Laila Te Te Sab Mujko, Jis Waqt Mein Roti Ti

Mein Saare Khabar Tumko, Jis Jaanpe Soti Thi

Aah Dekh Sakina Ko (x2)

Kya Haal Howa Bhayah