haye abbas kya sunoge mere dard ki khabar
aaya hoo mai sakina ko behosh chod kar
abbas yaad hoga madine se wo safar
fehrist pad ke roye thay tum jiske naam par
wo hurmula ke teer se bejaan ho gaya
jhoole se aake dasht mein bhi asghar bhi so gaya
shaah ne ali asghar ko jab dafn kia hoga
abbas ka laasha to hai uth uth ke gira hoga
aise hi to sar kat ke naize pe nahi jaata
qaatil ne zibha baccha phir zibha kia hoga
shaah ne ali asghar ko...
sar kaat ke zaalim ne jis waqt uchala tha
zehra ka kaleja to mitti pe gira hoga
shaah ne ali asghar ko...
naize pe jo baccha tha aur oont pe maadar thi
dil godh mein lene ko bechain raha hoga
shaah ne ali asghar ko...
lo qatl ke baad asghar akbar se bada nikla
chota sa kaleja tha naiza to bada hoga
shaah ne ali asghar ko...
jo jhoola jhulati thi moo choomti jaati thi
ek saal sakina ne bosa na diya hoga
shaah ne ali asghar ko...
kyun qabr ki tareeki dhamkaye murawwat ko
nauha ali asghar ka marqad mein padha hoga
shaah ne ali asghar ko...