shaheed e karbala baysheer asghar
tabassum hai tera shamsheer asghar
madine mein faqat kuch din ka sin tha
ke tu ne chod'di aaghosh e sughra
tha dil mein tere qurbani ka jazba
tu hai jaan e dil e shabbir asghar
shaheed e karbala...
ye hai pyasa musafir aur kamsin
hai uski mutthiyan bhi band lekin
ye kar sakta hai na mumkin ko mumkin
karega deen ki tameer asghar
shaheed e karbala...
akele ran mein thay sibte payambar
magar kitna yaqeen tha unko tujhpar
ke maqtal mein sada halmin ki de kar
bulaate hai tujhe shabbir asghar
shaheed e karbala...
barasta khoon karbal ki hawa mein
wo halmin ki sada dashte bala mein
wo tera ran ko aana is faza mein
bara e nusrate shabbir asghar
shaheed e karbala...
hai kaisi kamsini ya rab duhaai
sada e al-atash lab par na aayi
faqat sookhi zuban sab ko dikhayi
mukammal sabr ki tasveer asghar
shaheed e karbala...
na bhoolega zamana tera ehsaan
tabassum tera fathe haq ka aelaan
tu hai baysheer magar mard e maidan
atash ke kaarwan ke mir asghar
shaheed e karbala...