Kanz e Aza

Sajday Main Sar Kata Kay Shabbir Karbala Main

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Badli hai La Illah ki, taqdeer Karbala main

1- Asghar teray jihad ki, kiya dehe,r day misaal

Aye nazar lahu ki, taseer Karbala main

2- Touheed bach na paati, hota, na aaj parda

Laatay ager Hussain na, hamsheer Karbala main

3- Samjhi behen kay lout kay, Akbar, hai agaya

Gonjhi subhay Aashor jo, takbeer Karbala main

4- Thamay jigar ko apnay, Shabbi,r chun rahay hain

Bikhri howe Hasan ki, tasveer Karbala main

5- Deekha jo khawab Ahmed e, Mursal, ki ankh nay

Aus ko aata howe hai, tabeer Karbala main

6- Aik Maa kay dil main Shahid, paiwa,st aaj tak hai

Nikla tha jo kaman say, aik teer Karbala main