Haye Haye Zainab Haye Zainab
Kya Beet Gayi Ho Gi Zainab Ke Dill Pe Logo
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Bina Hussain Ke Woh Kaise Ghar Gayi Ho Gi
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Aye Nana Tere Nawase Ko Teri Ummat Ne
Dafan Kiya Hai Ya Urya'n Hi Ban Me Chorh Diya
Hussain Ya Hussain
Hussain Badshah
Hussain Shehanshah
Hussain Deen Hai
Hussain Dee'n Panah
Shaheed E Karbala
Zabeeh E Nainawa
Hai Tera Ghar Luta
Be Jurm O Be Khata
Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Batool Zadi Yehi Bat Sochti Ho Gi
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Parhe The Lashe Jawano Ke Dasht E Karbal Me
Parha Tha Ghazi Ka Lasha Baghair Shano Ky
Abbas Haye Abbas
Abbas Haye Abbas
Abbas Bawafa
Abbas Ba Safa
Ali Ki Goud Ka
Hai Tu Pala Hua
Abbas Mojza
Hai Tu Batool Ka
Abbas Ek Naya
Hai Paish Marhala
Hai Zainab Be Rida
Safar Hai Sham Ka
Hai Shami Be Haya
Wa Museebata
Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Jawan Bhai Ky Shano Ko Dhundti Ho Gi
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Luti Thi Dasht Me Jo Chadare Saidaniyo Ki
Lautaayi Abid E Beemar Ko Laeeno Ne
Sajjad Haye Sajjad
Sajjad Haye Sajjad
Beemar E Karbala
Aseer E Be Khata
Tumhara Qafila To Tha Luta Hua
Pehn Ke Bediya
Jidhar Bhi Tu Gaya
Woh Rasta Bhi Tha
Lahu Lahu Hua
Na Jane Kis Tarah
Yeh Tu Ne Seh Liya
Woh Zainab E Hazee'n
Ka Sar Khula Hua Phir Us Ke Baad Bhi
Tu Jab Talak Jiya
Tumhari Ankh Se
Sada Hai Khoo'n Baha
Sajjad Haye Sajjad Haye Sajjad
Ali Ki Laadli Hasrat Se Dekhti Ho Gi
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Woh che Mahine Ke Bachy Ko Teer Mara Tha
Woh Sheer Khwaar Ka Sar Bhi Sinaa'n Pe Aaya Tha
Sagheer Haye Sagheer
Sagheer Haye Sagheer
Sagheer E Karbala
Hai Kushta E Jafa
Kisi Ki Dushmani
Hai Tum Se Kyu Bhala
Tumhara Sin Bhi
Nahi Hai Jang Ka
Qaza Ka Teer Hai
Ba Dast E Hur Mala
Tumhara Phool Se Bhi Narm Hai Gala
Rabab Kis Tarah
Kare Gi Hosla
Khudara Hosla
Hussain Par Yehi To Waqt Hai Karha
Lahoo Sagheer Ka
Hai Munh Pe Mall Liya
Sagheer Haye Sagheer Haye Sagheer
Batool Ghaiz Me Khoon Apna Peet'ti Ho Gi
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Gaya Jo Qafila Maqtal Me Aal E Ahmad Ka
Weeran Dasht Me Har Bibi Apne Pyaron Ko
Jawan Haye Jawan
Jawan Haye Jawan
Shabeeh E Mustafa
Wazeer E Murtaza
Atthaara Saal Se
Tu Burkhe Me Pala
Phuphi Ne Naaz Se
Tujhe Jawa'n Kiya
Khuda Ke Waste
Abhi Na Ran Me Ja
Hussain Kis Tarah
Yeh Dekh Paye Ga
Jawan Ka Jigar
Sinaa'n Ka Tootna
Behan Thi Muntazir Ke Laut Ke Tu Aa
Woh Ab Bhi Dekhti
Hai Tera Raasta
Jawan Haye Jawan Haye Jawan
Tadapti Dhoop Me Ro Ro Ke Dhundti Ho Gi
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Suna Jo Ho Ga Sakina Ne Qabr Me Akhtar
Keh Sab Chale Hai Mujhe Chorh Ke Madine Ko
Masooma Khuwab Me Tanha Hi Ro Rahi Ho Gi
Rehai Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Ho Gi
Haye Haye Zainab Haye Zainab
Haye Zainab
Haye Zainab