Kanz e Aza

Sakina ko youn chordh kar jaa

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram (2010). Lyrics in Roman Urdu.

Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Ha

Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai..(4)


Kaha Roke Baqir Ne Abid Se Baba


Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai..(2)


Hai Baba Yahaan Par Baraa Sa Andhera


Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Hai


Kahaa Roke Baqir Ne Aabid Se Baba

Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Hai, Kahaa Roke Baqir Ne Aabid Se Baba ...

1. Haan Dekha Hai Maine Safar Mai Yeh Manzar

Jahaan Paani Hota Tha Is Ko Mayassar


Toh Khud Apne Hisse Ka Paani Hamesha

Giraati Thi Yeh Aap Ki Bediyon Par

Mayassar Hai Ab Hamko Paani Toh Pyaasa


Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai


2. Jhukaaye Huwe Apna Sar Rorahi Hai

Rihaai Ki Sunkar Khabar Rorahi Hai

Tadapti Hai Dadi Rubab Aise Baba Ke Amma Bhi Thaame Jigar Rorahi Hai

Batayenge Kya Gar Unhone Ye Puchha


Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa Rahe Hai


3. Mujhe Yaad Hai Khud Yeh Kehte The Daada

Madina Hai Iss Ke Sabab Se Madina Ke Meri Nazar Mai Woh Ghar Ghar Nahi Hai

Nazar Jis Mai Aaye Na Mujhko Sakina

Na Iss Ke Siwa Phir Basega Madina


Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai


4. Madina Ho Ya Shaam Karbobala Ho Ke Bazaaro Darbaar Ka Marhalaa Ho

Sadaa Har Sitam Ham Ne Jhelaa Hai Milkar

Toh Phir Kyun Na Yeh Mere Dil Ki Sadaa Ho

Mujhe Bhi Yahin Chhod jana Ay Baba


Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai


5. Mujhe Aaj Yaad Aaraha Hai Woh Lamha

Giri Thi Jo Naaqe Se Ik Din Sakina

Lage Aap Ki Pusht Par Taaziyaane Magar Aapne Qaafila Rok-ke Rakhaa

Rukaale Yuhin Qaafila Aaj Baba


Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai


6. Achaanak Nigaahe Padi Jo Lahad Par

Sawaalaat Phir Lab Pe Aaye Na Akbar

Sakina Ki Turbat Ko Sine Lagaaye

Padar Se Yeh Kehne Lage Roke Baqir

Samajh Mai Meri Ab Hai Baba Yeh Aaya


Sakina Ko Kyu Chhod Kar Jaa Rahe Hai..(3)