Kanz e Aza

Suno shabbir se ghazi ki sana

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Abbas Abbas

Sarwar Kay Alamdar

Zainab Kay Wafadar

Ya Sani e Karar

Sardaro'n Kay Sardar


Suno Shabbir Say Ghazi Ki Sana


Woh Batayaingain Hamain Kiya Hai Wial e Abbas (as)

Ao Shabbir Say Suntay Hai Sana e Abbas (as)


Suno Shabbir Say Ghazi Ki Sana


Surah e Qadr Kay Parday Main Pala Hai Abbas

Surah e Hamd Ki Godi Main Raha Hai Abbas

Ale Imran Kay Angaan Main Chala Hai Abbas

Dil e Yaseen Darakhnay Ki Sada Hai Abbas


Bay Kay Nuktay Say Jo Wan Nas Talak Jayega

Saray Quran Main Abbas Nazar Ayega

Jis Ko Andhi Kahai Tufaa'n Woh Mera Ghazi Hai

Jis Kay Khadim Hai Suleman Woh Mera Ghazi Hai


Mout Hai Jis Say Pareshan Woh Mera Ghazi Hai

Jis Main Shabbir Ki Hai Jaan Woh Mera Ghazi Hai

Is Ki Azmat Ki To Zainab Nay Qasam Khai Hai

Fatima Zehra Ka Beta Hai Mera Bhai Hai


Apne Pehlu Main Hamesha Say Bhithaya Maine

Mujhko Zehra Isay Jhula Jhulaya Maine

Farz Nana Ki Tarah Apna Nibhaya Maine

Isko Khandho Pay Kai Baar Bhithaya Maine


Sab Yeh Kehtay Hain Sama Khub Bana Rakha Hai

Daikh lo Chand Nay Suraj Ko Utha Rakha Hai

Apnay Mabood Ki Masoom Gawahi Abbas

Chalti Phirti Huwi Shamsheer Ilahi Abbas


Dushman e Ale Muhammad Ki Tabahi Abbas

Lashkar e Fatima Zahra Ka Sipahi Abbas

Kufr Ko Ishq Ka Kaaba Nahi Dhanay Daiga

Yeh Wilayat Pay Koi Anch Na Anay Daiga


Iski Har Ek Siffat Hai Mairay Baba Jaisi

Woh Sakhi Yeh Bhi Sakhi Woh Bhi Wali Yeh Bhi Wali

Faq Allah Nay Hum Dono Main Rakha Hai Yahi

Main Muhammad Ka Muhammad Yeh Ali Ka Hai Ali


Karbala Main Shab e Hijrat Ka Jo Manzar Hota

Mairay Bister Pay Bhi Abbas Dilawar Sota

Mas ala Is Kay Liye Sirf Mairi Cha Ka Hai

Foug Ki Fikr Na Khatra Isay Janga Ka Hai


Ghat Par Pehra Agr Lashkar e Rubaha Ka Hai

Zoor Ghazi Ki Kalahi Main Yadullah Ka Hai

Sirf Naizay Say AGR Hath Milalai Abbas

Nahr Ka Kiya Cheez Hai Suraj Ko Utha Lai Abbas


Kitnay Lakho Ka Hai Yeh Lashkar e Shar Kiya Matlab

Samnay Sher Kay Yeh Teer o Tabar Kiya Matlab

Ainul ul Laha Ki Ankho Main Ho Dar Kiya Matlab

Is Kay Hotay Huwai Khaimo Pay Nazar Kiya Matlab


Khelta Aya Hai Gehwaray Main Yeh Teer Kay Sath

Bachpana Kata Hai Abbas Nay Shamsheer Kay Sath

Dast e Zahra Ka Tarasha Huwa Almas Hai Yeh

Khandan e Bani Hashim Kay Liye Aas Hai Yeh


Karbala Jis Pay Ho Tehreer Woh Kirtas Hai Yeh

Sher Jis Sher Say Darta Woh Abbas Hai Yeh

Jab Mera Sher e Jawab Ran Main Bhipar Jata Hai

Zindagi Kiya Mala qul Mout Bhi Dar Jata Hia


Milti Julti Mairay Baba Say Hai Surat Is Ki

Hai Dil e Sani e Zahra Pay Hukumat Is Ki

Poch Lo Malik e Ashter Say Shujaat Is Ki

Ek Jumlay Main Sunao Main Fazilat Is Ki


Mawara e Samajh o Sojh Dilo Aql Hai Yeh

Kiya Fazail Hi Bhala Khud Hi Abal Fazl Hai Yeh

Kardai Khamosh Sitam Garo Ki Sari Bar Bar

Taig Bijli Ki Tarah Chamkay Jo Is Ki Tar Tar


Sar Gir e Khak Pay olo'n Ki Tarah Say Tar Tar

Mout Dozakh Ki Tarah Hanp Dai Sara Rewar

Mehr Talak Sham Kay Lashkar Kay Gira Dai Lashay

Na Ho Chalnay Ki Jagah Itnay Bicha Dai Lashay