Is se zahir hai jahan par tera rutba Abbas
Khud Ali ne bhi kai baar kaha: Ya Abbas
Jab Nabi ne kaha Hasan o Hussain mere bete hain
Fatima Zahra ne pukara: Mera beta Abbas
Pocha Abbas se jab un ka pasandeeda laqab
Muskurakar kaha: Saqqa-e-Sakina Abbas
Aap ki qabr ke gird ab bhi hai masroof-e-tawaf
Aap ke qabze mein hai aaj bhi darya Abbas
Lagta hai saath nikal aaye hain chand aur sooraj
Dekh kar aap ka aur Shah ka roza Abbas
Haath walon ne bhi utna nahi taqseem kiya
Aap ne jitna kate haathon se baanta Abbas
Tujh ko jurat par mila sab se bara yeh inaam
Ban gayi mashk-e-Sakina tera tamgha Abbas
Log tauheed-e-Ali mein na karein shirk kahin
Dhaanp lete thay isi soch ke chehra Abbas
Ban gaye Hazrat-e-Abbas ke Maisam-e-Saqlain
Daar par ja ke bhi hum bolenge: Maula Abbas