Kanz e Aza

Rehti Thi Ye Zainab

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

rehti thi ye zainab ki sada arze karbala

ay arze karbala

kya thi mere bhai ki khata arze karbala

ay arze karbala


do din ke liye hum tere mehman hue thay

kya mehma-nawazi ke ye samaan hue thay

kyun kunba mera pyasa raha arze karbala

ay arze karbala

rehti thi ye zainab ki…


mai apne baradar ko kahan dhoondne jaun

apne ali akbar ko kahan dhoondne jaun

kunba mera taraaj hua arze karbala

ay arze karbala

rehti thi ye zainab ki…


be dast hue nehr pe abbas e dilawar

dur bali sakina ke chine aur meri chadar

lauta de mere sar ki rida arze karbala

ay arz e karbala

rehti thi ye zainab ki....


baysheer tadapta raha betaab rahe hum

seene pe tere nehr thi be-aab rahe hum

asghar ke laga teer e jafa arze karbala

ay arze karbala

rehti thi ye zainab ki…


bhai tere seene pe ragadta tha aediyan

seene pe sina khake tadapta tha naujawan

jumbish na hui tujhko zara arze karbala

ay arze karbala

rehti thi ye zainab ki…