rehne ke liye dil mein hai shabbir ki surat
aeena badalta nahi tasveer ki surat
rehne ke liye…
hasnain o nabi hyder o zehra hai kisa mein
tafseer ke paykar mein hai tatheer ki surat
rehne ke liye…
qurbani e shabbir khaleel aap bhi dekhein
yun khwab ko mil jati hai tabeer ki surat
rehne ke liye…
kya jhapte hai dushman pe habib ibne mazahir
jo misle kaman thay wo gaye teer ki surat
rehne ke liye…
ab aur na dunya mein khaleel aur na shabbir
har khwab dikhata nahi tabeer ki surat
rehne ke liye…
hal min ki sadaon pe machalte thay jo asghar
maa dekh ke reh jaati thi baysheer ki surat
rehne ke liye…
jab aaya hai sajjad ke qadmon ka tasavvur
ashkon mein utar aayi hai zanjeer ki surat
rehne ke liye…
baatil ki fizaon mein wasi haq ke fidaai
hurr banke badalte hai taqdeer ki surat
rehne ke liye…