ro ke kehti thi ye zainab mere bhai abbas
kyun tumhe bha gayi darya ki tarayi abbas
yaad karti hai sakina tumhe ammu keh kar
ghash pe ghash khaati hai shabbir ki jaayi abbas
ro ke kehti thi ye...
chadarein chin gayi moo haathon se dhaapun kaise
hai rasan zulm ki aur meri kalayi abbas
ro ke kehti thi ye...
khud rasan basta hoo abid ko bachaun kaise
hai yehi ek mere bhai ki kamayi abbas
ro ke kehti thi ye...
laash ran may hai mere bhai ki be-gor o kafan
ummate jad ko magar sharm na aayi abbas
ro ke kehti thi ye...
khaak par kunba mohamed ka hai dekho aa kar
koi sunta nahi zainab ki duhaai abbas
ro ke kehti thi ye...
phirti hai aankhon may akbar ki jawani bhaiya
mil gayi khaak may shabbar ki kamayi abbas
ro ke kehti thi ye...
mai bhi kehlaati thi shehzadi isi kufe may
haye kis haal may kismat yahan laayi abbas
ro ke kehti thi ye...
raaz likh sakta na tha itna murattab nauha
aap ne raahe sukhan isko dikhayi abbas
ro ke kehti thi ye...