Kanz e Aza

Ran se aajayiye ab humko bachane baba

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ran se aajaiye ab ham ko bachaane baba

shimr aata hai idhar qaime jalaane baba

haye baba mere baba haye baba mere baba

shiddat e pyaas se bimaar nazar aati hu'n


do qadam chalna jo padhta hai to girjaati hu'n

haddiya'n sookh gayi ho meri jaise baba

waqt se pehle hi duniya se guzarjau'n mai

ye dua karti hun khaliq se ke marjau'n mai


jeene dete nahi ab shimr ke durre baba

haal par mere taras kyu'n nahi khaata koi kyu'n nahi mujhko laeenau'n se bachaata koi

kounsi aisi khata hogayi mujhse baba

goshware jo mujhe aap ne pehnaye the


chheen kar legaye ashraar mere kaanau se aur maare hai'n layeenau'n ne tamache baba

ba khuda dhoop ki shiddat se bacha kar rakhti

be kafan laash na mai aapki rehne deti

meri chadar jo sitamgaar na lete baba


sunne waale meri pardes me faryaad nahi

aisa lagta hai koi sahib e aulaad nahi

jo mazalim se layeeno'n ke bachaye baba

jab se gardan me sitamgar ne rasan baandhi hai


saans lena bhi mere waaste dushwaari hai

kistarha zinda hu'n batlau'n mai kaise baba

zindagani ke bas ayyaam gina karti hai

baap ko rote huwe khaak pa sojaati hai


jisko seene pa sulaate the tum apne baba

yak ba yak jaise chhuri qalb pe chal jaati hai

ba khuda yaad madine ki bohat aati hai

dekh kar shaam o saher udhte parinde baba


sonch kar qalb o jigar hota hai tukde tukde

kaise tabish koi dukhiya ki musibat likhe

arsh hiljaata hai wo jab kehti tadap ke baba