Kanz e Aza

Tasbihate Hazrate Zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Hussain Shakri. Lyrics in Roman Urdu.

ya zahra


kya gham ho phir

jeene ka hai jab ye nuskha

ye roz-o-shab mera padna

tasbeehaat-e-hazrat-e-zahra


allahu akbar ye zikre khuda

allahu akbar yeh ata e rabb

allahu akbar ye rizqe jahan

milta hai zahra bas tere sabab


sallal laahu alayk ya fatemeh

sallal laahu alayk ya fatemeh

sallal laahu alayk ya fatemeh

sallal laahu alayk ya fatemeh


kaise thaamun

deewar aur dar ko mai fizza

sholon mein ahmad ka tukda

zakhmi hai pehlu shikasta

allahu akbar ye dard e duroon

allahu akbar ye musibatein

allahu akbar ye zakhm mera

khooni hai kausar ki sab aayatein

sallal laahu alayk ya fatemeh...


aisa gham tha

roshan din par bhi agar padta

har simt hota andhera

lekin bibi zahra ke bas labon pe tha

alhamdu lillah bar qaza e oo

alhamdu lillah har ranj o alam

alhamdu lillah mai binte nabi

thaame hoon tanha hyder ka alam

sallal laahu alayk ya fatemeh...


sharminda hai

baitullah ka haseen naqsha

yasrab mein ahmad ka rauza

ro ro ke padhta hai nauha

subhan allah roshan hai raat din

subhan allah ye rauza e rasool

subhan allah raunaq hai chaar soo

ujdi hui hai magar qabre batool

sallal laahu alayk ya fatemeh...