tasveer mein hussain ka rauza hai taaziya
karbobala ki yaad dilaata hai taaziya
khudrat ne taaziye ko ata ki hai khudratein
bigde muqadaron ko banata hai taaziya
tasveer mein hussain ka...
laata hai apne saath mein kuch aisi raunaqein
ujde huwe gharon ko basata hai taaziya
tasveer mein hussain ka...
mehsoos dil ko hoti hai is darja tafliyat
mehman hoke ghar mein jab aata hai taaziya
tasveer mein hussain ka...
milte hai iske sadqe mein bichde hue azeez
pardes se watan jo bulata hai taaziya
tasveer mein hussain ka...
allah ki nigaah mein badta hai uska khad
fidwi jo apne sar pa uthata hai taaziya
tasveer mein hussain ka...