Kanz e Aza

Hussain Deen-e-Paiyambar Bacha Ke Dum Lenge

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Hussain Deen-e-Paiyambar Bacha Ke Dum Lenge

Sitam Garou Ke Kaleje Hila Ke Dum Lenge

1.Yeh Mana Aun-o-Mohd Bhot Hi Pyase Hai Magar Yeh Hyder-e-Karrar Ke Nawase Hai

Sipah-e-Shaam Ku Ghar Tak Bhaaga Ke Dum Lenge


2.Yeh Kehraha Hai Sakina Tere Chacha Ka Mizaj

Durast Kardenge Pal Bhar Me Aashkiyan Ka Mazaj

Jalal-e-Fatah-e-Khaibar Dikha Ke Dum Lenge


3.Hai Pukhta Apne Irade Me Noujawan Akber

Isiliye Toh Raghadhte Hai Aedhiya Akber

Nishan-e-Daulat-e-Fasaq Meeta Ke Dum Lenge


4.Yeh Aur Baat Hai Kamsin Hai Chal Nahin Sakte Magar Irade Bhi Asghar Ke Tal Nahin Sakte

Yeh Gheware Se Maqtal Me Jaake Dum Lenge


5.Hussain Wada-e-Teflee Nibhane Wale Hai

Khuda Ki Rah Me Gardan Kaate Wale Hai

Ghamou Se Chur Hai Jannat Me Jaake Dum Lenge


6.Har Ek Dil Me Basainge Sheh Ka Gham Fakhri

Har Ek Ghar Me Sajaienge Yeh Alam Fakhri

Hussain Wale Hai Duniya Pe Chahe Dum Lenge