mai lut gayi nana mai lut gayi nana
karbobala ke ban may ghar lut gaya mera
aisi tabaahi laaya ashoor ka savera
kubra ki maang ujdi qasim ka luta sehra
be jurm gaya maara ek raat ka dulha
mai lut gayi nana...
kadiyal jawan akbar mera gaysuon waala
wo sher jis ko maine athara saal paala
teeron se hua chalni us sher ka seena
mai lut gayi nana...
zaalim ne teer maara masoom ke galay par
pyasa lahoo may dooba baysheer ali asghar
maqtal may ro raha tha bhai mera tanha
mai lut gayi nana...
wo jis ka naam pyase bachon ki aas tha
jis ko laqab mila tha saqqa e sakina
wo bhai lab e darya maara gaya pyasa
mai lut gayi nana...
bachon ko jis pe maine sadqe kiya tha nana
jo mera bhai mujhko tha jaan se pyara
pamaal hote dekha us bhai ka laasha
mai lut gayi nana...
loota sitamgaron ne mere ghar ko jalaya
ahle sitam ne nana us dar ko jalaya
rehta tha jis pe nana abbas ka pehra
mai lut gayi nana...
jis bachi ka bistar tha mere bhai ka seena
kehta tha mera bhai jisay pyar se sakina
zindan may kho aayi zainab wo nageena
mai lut gayi nana...
balwe may layeen laaye jis waqt rasan basta
tha haal ajab gohar abbas ki khwahar ka
majma tha hazaron ka zainab thi berida
mai lut gayi nana...