rakh ke sar seena e sarwar pe sakina boli
chod kar ammu gaye aur gaye sab bhai
ab na mera sabr aazmana
jao baba jaldi laut aana
baad aap ke hamein ye ashkiyan satayenge
mai kise bulaungi gauhar jo cheene jayenge
ye layeen jalayenge hamare qaimagaah bhi
aap agar na aaye to ye mujhpe zulm dhayenge
seh nahi sakungi taaziyana
jao baba jaldi laut aana...
jaanti hoo mai ke sakht aap ka hai imtehan
aap be-watan ghareeb tashna lab hai baba jaan
kar rahi hoo mai dua khuda ki bargaah mein
jaa rahe hai aap jo sitamgaro ke darmiyan
hogaya hai sang dil zamana
jao baba jaldi laut aana...
keh gaye thay ammu jaan ran se laut aayenge
pani mere waaste wo alqama se layenge
itne zakhm dil pe seh ke kis tarha jiyungi mai
tanha chod kar mujhe ab aap ran ko jayenge
kis khadar kathin hai gham chupana
jao baba jaldi laut aana...
dayr hogayi jo aap ko to kya karungi mai
aap ke baghair raat ko na so sakungi mai
aap jo na aaye aur ban mein raat hogayi
beqaraar aap aur be-sukoon rahungi mai
jaake ran mein na mujhe bhulana
jao baba jaldi laut aana...
hai ajeeb waqt kaise aap ko juda karun
kaise aap ko mai baba jaan alwida kahun
marzi e khuda ke saamne zuban band hai
dil magar ye keh raha hai aap ko mai rok loo
hai naseeb mein ye gham uthaana
jao baba jaldi laut aana...
zaalimon ko is khadar hai dushmani kyun aap se
band kardiye hai karbala ke saare raaste
pehre itne sakht kar diye labe furaat par
fauj e ashqiyan khadi hai alqama ke saamne
pani mere waaste na laana
jao baba jaldi laut aana...
jaanti hoo tashnagi se khushk hai mera gala
garm hai hawa sulag rahi hai rayg e karbala
mere jaanisaar saare ran mein jaa ke sogaye
mera dasht mein hai kaun sirf aap ke siwa
meri tashnagi ko bhool jaana
jao baba jaldi laut aana...
kaise aap ki madad karun mujhe bataiye
baba aap tanha fauje shaam mein na jaaiye
subho se gaya jo ran mein laut kar na aa saka
aap laut aayenge mujhe yaqeen dilaaiye
yan mujhe bhi ran mein tum bulaana
jao baba jaldi laut aana...
de rahi hu aap ko khuda ki mai panaah mein
aanch aaye koi aap par na qatl gaah mein
haath jod kar ye arz kar rahi hoo baba jaan
ran mein aap ho jahan rahe meri nigaah mein
door na meri nazar se jaana
jao baba jaldi laut aana...
safdar e hazeen ye bain sun ke shahe behrobar
bole waqt e imtehan hai shaahzadi sabr kar
ran ko jaa raha hai tashnalab ghareeb bekhata
ay sakina laut kar na aayega tera padar
ab na keh ke tu mujhe rulaana
jao baba jaldi laut aana...