akbar ka tha ye nauha sughra muaaf karna
dam toot'ta hai mera sughra muaaf karna
zakhmo ke darmiyan hoo lamho ka mehman hoo
kaise nibhaun waada sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
kya haale dil sunaaun aaun to kaise aaun
barchi mein hai kaleja sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
behaal ho chuka hoo har aas kho chuka hoo
mat intezar karna sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
ek hashr ka samaa hai sehra dhuan dhuan hai
aankhon mein hai andhera sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
tu muntazir wahan hai bhai tera yahan hai
har khwaab hai adhoora sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
manzoor thi shahadat paayi na itni mohlat
milne bhi aa na paaya sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
quran ki roshni se milta tha jo nabi se
ab bhool ja wo lehja sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
acha hai door tu hai qasim lahoo lahoo hai
mehndi hai aur na sehra sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
ammu ko ra rahe hai beenayi kho rahe hai
baba hai be-sahara sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
asghar ko paa sakogi jhoola jhula sakogi
lagta nahi hai aisa sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...
aamir bapa hai mehshar sheh sun rahe hai nayyar
aur keh raha hai beta sughra muaaf karna
akbar ka tha ye nauha...