kis tarha kahe maadar e akbar se ye sarwar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
lautega nahi dasht se hamshakle payambar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
maqtal ki taraf badte huwe jaate hai aise
raste hi mein ruk jaaye musafir koi jaise
kehte hai yehi apne kaleje ko pakad kar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
kis tarha kahe...
kya haal hai akbar ka bhala kaise bataun
peeri mein jawan laash bhala kaise uthaun
ab nehr se aajao mere monis o yawar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
kis tarha kahe...
paala hai tujhe godh mein zainab si phupi ne
parwaan chadaya hai tujhe binte ali ne
ye dekh ke mar jaaye na shabbir ki khwahar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
kis tarha kahe...
kis tarha bhala dekhegi is haal mein dukhiya
qaime ke khareeb jaake ye shabbir ne socha
kya hoga abhi dekhegi jo maadar e akbar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
kis tarha kahe...
dekho to har ek qaime mein kohram bapa hai
naiza ali akbar ke kaleje mein laga hai
khush hoke yehi kehte hai aapas mein sitamgar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
kis tarha kahe...
chalni hua maqtal mein mere laal ka seena
naize ke hi hamraah nikal aaya kaleja
maa qaime se baahar na nikal aaye ye sun kar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
kis tarha kahe...
sajid ne padha jaise hi akbar ka ye nauha
qirtaas o qalam rone lage sun ke ye nauha
ifhaam kaha mujhse ye lafzon ne ye tadap kar
akbar ke kaleje mein sina toot gayi hai
kis tarha kahe...