qaid do saal ki nibha ke hussain
aur mehnat teri bacha ke hussain
tera chehlum manaane aayi hoon
qaid meri guzar gayi bhaiyya
wo jo rassi thi mere haathon mein
dekho aakhir utar gayi bhaiyya
qatl chupne nahi diya tera
har jagah khoon ka diya pursa
tere maqtal se shaam e zindan tak
khoon mein ho ke tar gayi bhaiyya
tera chehlum manaane...
ek naize pe tera sar tha aur
ek naize pe meri chaadar thi
teri aankhein to band thi par mai
shaam tak nange sar gayi bhaiyya
tera chehlum manaane...
wo jo asghar ke baad kehti thi
ab mera aasra sakina hai
kaise saaye mein usko laaun mai
ab sakina bhi mar gayi bhaiyya
tera chehlum manaane...
rassiyan to utar gayi hai magar
baazuon par nishan baaqi hai
kaise zinda rahenge abdullah
mai jo zakhmi hi ghar gayi bhaiyya
tera chehlum manaane...
haye baba kuja ke bin chadar meri
maa ne mujhe na dekha tha
baad e ghazi ke ek shaam kahan
har jagah nange sar gayi bhaiyya
tera chehlum manaane...
kya hua agar ye behen aa na saki
tera chaleeswan mana na saki
dekh kar bheed pursadaron ki
meri mehnat sawar gayi bhaiyya
tera chehlum manaane...
karbala kab wo rehne aayi hai
sirf imran kehne aayi hai
maine dobara shaam jaana hai
hashr tak mai bichad gayi bhaiyya
tera chehlum manaane...