syed ka qoon haaye bahate hai ashqiya
marqad me sayyada ko rulate hai asqiya
koofe ke haal dekhiye ya murtaza ali
muslim ko baam par se giraate hai asqiya
gardan me touq daal ke ibne aqeel ko
zanjeere qaardaar pinhaate hai ashqiya
be jurmo be gunah ke laashe ko haye haye
koocha ba koocha le ke phiraate hai asqiya
*hilmi* ye kalmagoh hai musalmaa'n hai sab ke sab
muslim ka jo ke qoon bahaate hai ashqiya