TA HASR KARWAN-E-AZA GHAM MANAINGE
Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
1.Is Tarah Todh Jainge Ashkoun Ke Silsile
Jo Gham Tujhe Mile WoKisi ko naMile
Tu Gham Naseeb Hai Yeh Sabhi Ku Batayege… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
2.WoTeen Din Ki Tashna Laabi Yaad Hai Humein
Sukhe Gale Pe Kund Churi Yaad Hai Humein
Pyasou Ku Unki Yaad Me Paani Pilainge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
3.Sub Kuch Nisar Karke Issi Gham Ke Waste
Aulad Bejdenge Moharram Ke Waste
Mazloom-e-Karbala ki Safe gham Bichainge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
4.Surat Nahin Hai Aur Koi Dil Ke Chain Ki
Rakhte Hai Apne Pas Nashani Hussain Ki
Hum Qabr Me Bhi Khaake Shifa Leke Jaienge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
5.Abid Ki Chashme Zar se Behta Howa Laahu
Wo Bekasi-e-Zainab-o-Kulsoom Charsu
Bazar Me Khule Howe Sar Yaad Aainge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
6.Har Saans Lamha Lamha Rahenge Shareeke Gham
Farshe Aza Pe Baith Ke Girya Karienge Hum
Teri Sada Me Apni Saadein Milainge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
7.Jitna Khayal Tune Rakha Apne Laal Ka
Koi Bhi Itne pyar Se Paala Na Hoenga
Teri Musibatou ku Na Hum Bhool Paienge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
8.Seene Me Jis Hussain Ke Daag-E-Hasan Bhi Hai
Yeh Wo Shaheed Hai Jo Ghareeb-Ul-Watan Bhai hai
Hum Karbala pochah ke Yeh Nouha Sunaienge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain
9.Dil Me Hamare Shouk-e-Ziyarath Hai Fatima
Mehdi ki Kaleem ki Hasrath Hai Fatima
Aainge Karbala Toh Yeh Nouha Sunaienge… Bibi Tere Hussain Pe Ansou Bahainge
Aye Madar-e-Hussain Aye Madar-e-Hussain