Kanz e Aza

abbas se kehti thi ye fouje

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Abbas se kehti thi ye fouje sitam aara darya hai hamara

Behtar hai agar aap kare’n isse kanaara darya hai hamara

Aane ki yaha’n shaam ke hakim ki qabar hai , sab zero zabar hai

Kal sub'ha se ghir jaaega maidaan ye saara - darya hai hamara


Ye sunte hi Abbas ke abru pa bal aaya, Badhkar ye sunaaya

Hargiz nahi’n tum logo’n ka kuch is me ijaara - darya hai hamara

Pyaase rahe maidaan me waa’n sibte payambar, sehraab ho Lashkar

Ek dam me ulat doonga safo ko sitam aara - darya hai hamara


Lashkar ko hata kar ye sada sher ki aayi , kis ki hai taraayi

Batlaao ke qabze me hai ab kiske kanaara- darya hai hamara

Zainab ne kaha shaah se ghabraati hu bhai , hoe na ladaai

Le aayiye abbas ko ye kehke khudaara - darya hai hamara


Jaakar kaha shabbir ne Aabbse dilaawar, kyu hote ho muztar

Mere liye har cheez ko qaaliq ne utaara - darya hai hamara

Be deeno’n ki in baato’n ke qaatir me na laao, ghusse me na aao

Ham wo hai diya nooh ki kashti ko sahaara - darya hai hamara


Mar kar bhi na bhoolunga saf aaraai ko teri saqqai ko teri

Hai tere muqaddar me azal se ye kanaara - darya hai hamara

Daswi ki moharram ko qayamat hui bismil, Ro dete the qaatil

Saahil pa kate haath jo karte the ishaara - darya hai hamara