darbar me do nanhe se sar laata hai zalim
qoo'n bacho ka gardan pa lie jaata hai zalim
gar poochta hai koi tu bacho ka hai qaatil
sar faqr se tasleem ko nyodaata hai zalim
baitha hua hai ibne ziade sitam aara
sar bacho ke bedeen ko dikhlaata hai zalim
latkaae hue laata hai do qoo'n me bhare sar
qush ho ho ke har ek ko dikhlaat hai zalim
sar kaat ke saadaat ke laaya hai paye nazr aur ispe musalmaan bhi kehlaata hai zalim
ek haath me zalim ke hai shamsheer barahna
allah re qushi hasta hua aata hai zalim
dil thaame hue baithe hai sab saahebe aulad
rone pe kisi ke nahi sharmaata hai zalim