Kanz e Aza

Zahra Tere Bachchon ka Koi Apna Nahin Hai

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

Rowain To Dilasa Bhi Koi Deta Nahin Hai


Darbar Kya Hai Fizza Ye Zainab Ko Batana (x2)

Tu Dekh Chuki Is Nay Abhi Dekha Nahin Hai


Paani Ki Jaga Utra Hai Kyun Halq Mein Paikan (x2)

Pyasa Tau Kabhi Apna Lahoo Peeta Nahin Hai


Awaaz Ki Jaanib Voh Ba Andaza Chalay Hain (x2)

Akbar Teray Baba Ko Tho Kuch Dikhta Nahin Hai


Pani Pila Do So Nay Ko Hai Zahra Ka Beta (x2)

Pani Piyay Baghair Yeh Kabhi Sota Nahin Hai


Dur Cheen Chuka Looti Rida Aag Lagayee (x2)

Lekin Kyun Abhi Shimr Ka Ji Bharta Nahin Hai


Jo Log Is Hisar Mein Bachchon Ko Dekhtay (x2)

Kya Eik Musalman Ka Bhi Dil Dukhta Nahin Hai


Yeh Baat Munkashif Huwi Karbal Mein Salamat (x2)

Bin Ishq-e-Khuda Maqtal Kabhi Sajta Nahin Hai