zainab aagayi bhai
lo zindane sham se chut kar
zainab aagayi bhai…
ab na yahan se ghar jayegi
laut ke ye maajayi
zainab aagayi bhai…
baad tere aisa loota ghar
sar pe na chodi ek ke chadar
khaynch liya bemaar ka bistar
deti rahi mai duhaai
zainab aagayi bhai…
tareeki raste anjane
dushman har soo naize taane
karbobala ke ban may na jaane
kaisi shaam thi aayi
zainab aagayi bhai…
hasrat to thi jaane khwahar
dete ijazat gar ye sitamgar
mayyat par kuch dayr teher kar
ro leti maajayi
zainab aagayi bhai…
sar khole be-makhna o chadar
aada legaye hum ko dar dar
kya bolun ek ek qadam par
kis kis ki yaad aayi
zainab aagayi bhai…
koday jab bemaar pe barse
rote thay hum sab haste thay
hukm tera tha hum bebas thay
jhel gaye ruswayi
zainab aagayi bhai…
chalte chalte shaam jo pahunche
kuch mat poocho bhaiya hum se
maut thi behtar is jeene se
maut magar na aayi
zainab aagayi bhai…
roshan thay har gaam pe raste
koocha o bazaar saje thay
reh gayi ek tamasha ban ke
qadam qadam maajayi
zainab aagayi bhai…
haye mera bemaar bhatija
pal pal khoon ke aansu roya
kya karti majboor thi bhaiya
kuch na behan kar paayi
zainab aagayi bhai…
gham se phata jaata hai kaleja
jago baradar utho bhaiya
lelo us lachaar ka pursa
shaam jise chod aayi
zainab aagayi bhai…
teri yaad may us dukhiya ke
aansu ek na pal thamte thay
kisko pata tha is surat se
usko milegi rihaai
zainab aagayi bhai…
teri yaad jab aati thi wo
roti thi chillati thi wo
roz tamache khaati thi wo
bhai teri shedaayi
zainab aagayi bhai…
dard ka paykar gham ki zaban hoo
ek tasveere aah o fughan hoo
pusht pe mai durro ke nishan hoo
aaj dikhane aayi
zainab aagayi bhai…