Kanz e Aza

Zainab aur Abbas

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

zainab aur abbas

dono hi se karbobala mein sheh ko badi thi aas

zainab aur abbas…


ek zehra ki laadli thi aur ek ali ka laal

maa ka sabr dikhaya ek ne baap ka jaah o jalaal

karbobala mein bangaye dono sabr o wafa ki asaas

zainab aur abbas…


qabre asr hifazat ka tha bhai zimedaar

baade asr uthaya binte zehra ne ye baar

bangayi aas haram ki zainab wo thi khud be aas

zainab aur abbas…


dono laal kiye zainab ne sarwar par qurban

nehr pe dono haath kata kar sadqe mein di jaan

waar diya sab kuch bhai par jo tha jiske paas

zainab aur abbas…


dashte bala mein aa kar choota dono ka ye saath

mashkeeza seene se laga kar dono kata kar haath

nehr kanare sogaya bhai behan hui be aas

zainab aur abbas…


waqte asr giray ghode se jab ke shahe abraar

halqe shahe mazloom pe rakhdi zaalim ne talwaar

qaime mein zainab tadpi aur saahil par abbas

zainab aur abbas…


kitne hi dukh jhayle dil par kitne hi aalaam

haye magar wo dashte sitam wo ranj o alam ki shaam

tanha hai maqtal mein zainab koi nahi ab paas

zainab aur abbas…


zainab hai pabande rasan ab chalta kuch nahi zor

noke sina par sar hai tan hai bhai ka be-door

roti hai maajaye ki mayyat pe hasrat o yaas

zainab aur abbas…