Kanz e Aza

Zahraa Pay Hai Giraya Jalta

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Zahraa pay hai giraya jalta howa dar kesay

Ujraa hai pal may dekho basta howa ghar kesay


1- Maqtal may pasliyoun kay masoom chal basa hai

Haider ko bataeiy gi Mohsin ki khabar kesay


2- Ghush kar gaya hai Maa kay qadmo say lipat kar woh

Ab Fatima uthaey Baitay ka woh saar kesay


3- Mafluj ho gaya hai ek haath tera Bibi

Zahraa qoonout tera howa hai qasar kesay


4- Zainab too ek qadam bhi ghar may nahi chali hai

Bazaroun say phir uss ka hona hai guzar kesay


5- Na dhoondo Baqiya may tum qaabar Fatima ki

Mola nay chupai hai Aaey gi nazar kesay


6- Pehlu e Shikasta say mansuub jab hai noha

Tahrir e Salamat may Aaey na asar kesay


URDU