Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n
Hai zulm ke pahad woh nanhi si ek jaan
1.Jab ran se zuljanah sue khaima aya tha
Masoomiyat se bacchi ne bas itna pucha tha
Waqt e zibha the pyaase ya seraab baba jaan
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n...... 2
2.Jab goshwaare che ene gaye aur lahoo baha
Dariya ki simt rukh kiya ro roke ye kaha
Baba madad ko ayiye lillaha ammu jaan
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n.... 2
3.Daman mai mere ayiye baba hai ilteja
Kehte hue faila diya kurta jalaya hua
Leta hai ab yazeed mohabbat ka imtehan
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n.... 2
4.Paani jo raste mai laeno se manga tha
Mujh ko dikha dikha ke zameen par bahadiya
Koi nahi tha hota jo uss waqt meherbaa'n
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n... 2
5.Dakheel hue jo Shaam mai aya woh marhala
Bhai ka sar jhuka tha toh phuphiyon ka sar khula
Gairat se sar jhukaye tha bemaar na tawaa'n
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n... 2
Masaib....
Baiti thi apne baba ke purse ke aaas mai
Zindaan mai kata hua sar aya pass mai
Dikh laye zakhmi kaan woh durro ke bhi nishaa'n
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n.... 2
Bhai ko mere kaaton pai paidal chala diya
Ek unth par alheeda mujh ko bitha diya
Akhon mai ashk the toh laboon par bacha lo maa'n
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n.... 2
Chaar baras ki umr mai youn ghum naseeb thi
*Mehfooz* woh sitam hue halat ajeeb thi
*Sadiq* tamam zulm na kar payga bayaa'n
Baad e Hussain haal e Sakina ho kya bayaa'n... 2