Azaa'n Ke Goonjte Hi Yaad Aajaati Hai Akber Ki
Jawaa'n Bete Ki Furqat Me Ajab Ghurbat Hai Madar Ki
Kisi Surat Nahi Thamte Rawaa'n Hai Har Ghadi Aansu
Nigahou Me Hasee'n Surat Hai Ham Shakle Payamber Ki
Huwi Taareek Duniya Umme Laila Ki Usi Pal Se
Lagi Thi Seena e Akber Pe Jab Barchhi Sitamgar Ki
Nazar Jab Eid Par Aaye Jawanaan e Bani Hashim
Huwi Behosh dukhiya is qadar yaad aayi diber ki
Azaan e Akber e Mehru Ka Sadqa Hai Musalmanou
Sada Abaad Hai Duniya Me Jo Allahu Akber Ki
Zamana Karbala Me Minniyat Ka Mojiza Dekhe
Hussain Ibne Ali Ke Saath Hi Hai Qabr Akber Ki
Bade Nazou se Pala Tha Ali Akber Ko Zainab Ne
Huwi Barbaad Maqtal Me Kamaayi Zindagi Bhar Ki
Khushi Dekhungi Akber Ki Usey Dulha Banaungi
Mili Hai Khaak Me Ye Bhi Tamanna Binte Hyder ki
Kamaal is Fikr Se Bhi Dil Tadap Jaata Hai Dukhiya Ka
Judaayi Kis Tarah Seh Paayegi Sughra Baradar Ki
Baraye Anjuman e Matamdaran e Ali Akber a.s
Azz: Mohsin Kamaal Razvi