Kanz e Aza

Kehti thi maa yahi haye sughra meri

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Kehti thi maa yehi haye Sughra meri, Aj tu chal basi haye Sughra meri.

Baap se chuthte hi bas jo roti rahi, Paikar hai yeh kaisi haye Sughra meri.

Baap se milne ki arzu rehgayi, Hijr me hi margaye haye Sughra meri.

Paas Akbar nahi nanhe Asghar nahi, Quld me ja basi haye Sughra meri.


Mere Sajjad ka zakhm sukha na tha, Daagh ye degayi haye Sughra meri.

Kookh bhi jal gayi maang ujdi meri, Mai na kyu margayi haye Sughra meri.

Haye kya hogaya bolti kyu nahi, Maa se yeh beruqi haye Sughra meri.

Woh Sakina meri qaid me chal basi, Yaad hai tashnagi haye Sughra meri.


Dafn Sughra hui ‘Mazhare’ dil hazin, Maa yeh kehti rahi haye Sughra meri…