Kanz e Aza

Aj ghar mei

A noha (2006). Lyrics in Roman Urdu.

Aj ghar mei

(Ya hussain, ya hussain, hussain) x2

(Zehra sa pehenji majlis mei, aj shaah-e-shaheeda aayo aay) x2

Ho aj shaah-e-shaheeda aayo aay


(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x3


(Jab chaand muharram ka dekha, aankho(n) se bahaaye ashk-e-aza) x2

Matam huwa, parcham bhi saja

Dil rodiya, karke ye bukaa


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Ik jhula sajaakar chota sa, Asghar ki pyaas ko yaad kiya) x2 Phir shaah ko, us kamsin ka

Pursa diya, aur nawha kiya


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Taboot sajaya jab mene, hamshakl-e-payambar ka rokar) x2

Aisa laga, karti hai buka

Akbar ki maa(n), dekar ye sada


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Mehendhi jo sajaayi qasim ki, nawshaah ka sehra aise parha) x2

Sehra tera, ashko(n) se bana

Har ashk ne, ye nawha kiya


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Wo chote chote surkh alam, jab nasb kiye to dil ne kaha) x2

Phele alam, un bacho(n) se

Zainab ne jo, kurbaan kiye


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Do baaliyaa(n) aur ik mashkiza, ghazi ke alam ke saath rakha) x2

Ik alqama ankho(n) se chali

Yaad agayi, phir pyaas teri


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Taboot sajaya jab tera, ay shaah-e-shaheeda tashnadahan) x2

Maa(n) sayyeda ki aayi sada

Zakhm-e-jigar, phir taaza huwa


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Phir eik sabeel banaayi gayi, pyaaso(n) ki pyaas pe rote huwe) x2

Kuze rakhe, paani bhi rakha

Har kuze par, tera naam likha


Hussain ya hussain

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2


(Irfan aur Mazhar ki jannat, hai majlis matam farsh-e-aza) x2

Hai bandagi, Ye farsh-e-aza Aur zindagi, matam hai tera


Hussain ya hussain