Qatle sarwar hai aaj waawaila
roze mehshar hai aaj waawaila
bosa gaahe rasool par rakhta
shimr qanjar hai aaj waawaila
khul gaya fatima ka jannat me
sub'ha se sar hai aaj waawaila
bosa gaahe rasool maqtal me
zere qanjar hai aaj waawaila
lut raha maarya ke jungle me
shaah ka ghar hai aaj waawaila