Kanz e Aza

Paband Agar Ghazi

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

paband agar ghazi alamdar na hota

zainab ka khula sar sare bazaar na hota


abbas ko ladne ki agar hoti ijazat

phir ghazi sakina se sharam saar na hota

paband agar ghazi...


karte na wazoo khoon se hussain ibne ali bhi

masoom jo pani ka talab gaar na hota

paband agar ghazi...


jaati na kabhi aag mein haye saani e zahra

jalte huwe qaimon mein jo bemaar na hota

paband agar ghazi...


rukhsar e sakina pe tamache bhi na lagte

is tarha yateemi ka bhi izhaar na hota

paband agar ghazi...


sajjad ko ghash aata na raahon mein kabhi yun

zainab teri chadar ka jo takraar na hota

paband agar ghazi...


sajde mein agar sar ko na shabbir katate

yun deen e mohamed ka bhi parchaar na hota

paband agar ghazi...


tanha sar e zindan na kabhi marti sakina

baba se sakina ko agar pyar na hota

paband agar ghazi...