paighaam e jari hai yehi
......zari.......
mashkeeza leke nehr se nikla jo alamdar
har simt se hone lagi phir teero'n ki bochhaar
girne lage ghode se to abbas pukaare
aaqa meri ummeedo'n ke sab toote sahaare
shabbir pukaare jo alamdaar ko jakar
shabbir se abbas ye kehne lage rokar par apne kaleje pe na sadme ko uthana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
paighaam mera jaake sakina ko sunana
paighaam e jari hai yehi
waada tha sakina se mera laaunga paani
aye beti bujhaaungi teri tashnadahani
ab kya karu'n sab lutgaya wado'n ka khazana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
baazu bhi kate saath me jazbaat kate hai'n
mai kaise sahara lu'n mere haath kate hain
marjayegi bachchi usey bazu na dikhana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
baba bhi chale aaye hai'n milne ko najaf se
jab jaaiyega khaime me to phir meri taraf se
pehle to sakina ko kaleje se lagana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
rehwar ko phir mod liya janibe sahil
ummeed meri toot gayi rone laga dil
jab mashk meri bangayi teero'n ka nashana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
poochhe jo sakina mujhe kehna mere aaqa
kuch kehke tasalli usey dena mere aaqa
fouran na meri mout ka ahwaal sunana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
pohnchaunga paani mai ye koshish to badi thi par kya karu ke mout mere aage khadi thi
chaha tha dil o jaan se waade ko nibahna
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
bazu bhi qalam hone ka ahsaas nahi hai
gham ye hai mujhe paani mere paas nahi hai
mashkeeza na bach paaya bohat chaha bachaana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
kahiyega sakina se mujhe muaaf karegi
wo pyaasi hai iski mujhe takleef rahegi
mai kya karu'n mumkin hi nahi paani pilaana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
kahiyega qalam hogaye jab bazu hamare
ek teer laga aankh me par aake hamare
is bekasi me mera zamee'n par huwa aana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana
kis tarah likhu'n karb mai abbas ka aalam
shabbir bhi rone lage karne lage matam
abbas ko chaha jo kaleje se lagana
aaqa mere laashe ko yahi'n chord ke jaana