pada hai nehr par ghazi ka lasha
qayaam e shaah me hai shor barpa
pada hai nehr par ghazi ka lasha
huwe bazu qalam jab bawafa ke
gire jalti zamee'n par fersh e zee'n se
hazaro tegh the saqqa tha tanha
hussain ibne ali lashe pe aaye
khade rone lage wo sar jhukaye
badan zakhmo'n se hai majrooh sara
muhafiz ab nahi parde ka koi
har ek manzil qayamat ki ghadi thi
nahi hai puchhne wala hamara
khade hain dar pe sab masoom bache
liye haatho'n me apne khaali kooze
sakina deti hai sab ko dilasa
ye roke kehti hai bali sakina
chacha ajao ab mushkil hai jeena
bapa hai bibiyo'n me shore girya
hai khaak o khoo'n me humshakle payambar
sada har baar ye dete the sarwar
koi imdaad ko a aye khudara
sakina ko laga jab bhi tamacha
tadap jata tha ek bimar bhayya
sada de ab kise nanhi sakina
chale darbar me namoose sarwar
hai be parda nahi hai sar pe chadar
jhukaye sar khada hai sheh ka kunba
sar e bazaar hai aale payambar
na qasim hai na hai shere dilawar
hal abid bekas o nachaar tanha
hai bibi aap se maruza itna
ye saqqa e haram dete hain pursa
baraye nazr hai lab par ye nouha
kate shaane uthaye shaah jisdam
tha sarwar par sohail ek gham ka alam
kamar thaame yahi kehte the moula