shor e matam hai shaheedon ke azadaron mein
shaah mazloom ne sajde kiye talwaron mein
jinke ghar se hua islam mein parda khayam
unko sar nange phiraya gaya bazaron mein
shor e matam hai...
dekh lo dekh lo asghar ko zamane walon
phir hasega na koi teeron ki baucharon mein
shor e matam hai...
qaid khane usay seene se lagaye rakhna
mar gayi haye sakina tere deewaron mein
shor e matam hai...
kaun aaya hai ye maa behno ko lekar qaidi
ek faryad hai zanjeeron ki jhankaron mein
shor e matam hai...
dil ki tatheer se shayad hai zabane uryan
haye wo parda nasheen shaam ke bazaron mein
shor e matam hai...
haq o baatil ka abhi faisla ho jayega
aake matam karo zanjeeron ka angaron mein
shor e matam hai...
nazre aatish huwe sajjad ke qaime shamsi
ghar mohamed ka ghazab aag ke angaron mein
shor e matam hai...